Ho sake tho laut jao.. Yaadon ke kohre kabhi kabhi rooh ko chupa dete hain Dil ka mausam bigaad dete hain Uss kohre ko hatakar dekh lena aage ki dagar Sab mein kahan hoti hain aisi nazar Tujhe saaf waadiyon mein rehne ki aadat hain Badalte hawaon ko seh na paayega Ho sake tho laut jao..
Main ek sammandar hoon bahut gehra sa Tere andar aag jitna bhi ho Mumkin nahin mujhe jala dena Sahil par rehkar mehsoos kar lena mujhe Utar na jana mujh mein, lehrein dara denge tujh ko Jahazon mein sair kiye ho ab tak Kasti ka safar tere bas ka nahin Ho sake tho laut jao..
Meri majbooriyon ko tu mohabbat na samajna Main nastik hoon mere sajde ko ibadat na samajna Ye zaroori tho nahin ki jo tu kahe wohi main kahun Apna nazariya rakhti hoon ise bagawat na samajhna
Mustakbil mein khushiya ho isliye aaj thoda rulati hoon Meri iss sakti ho tu nafrat na samajna
Tu mehfoos rahe isliye teri dushmaon se dosti hain Meri iss kamzori ko tu chahat na samajna
Mushkilon ne choda nahin maine use apna liya Mere jhoot moot ke hasne ko tu rahat na samajna
Ye tera karz tha tujhe hi chukana tha Agar mera mizaj badal gaya tho inayat na samajna
Kisi ko harane ke liye nahin khud ko jitane ke liye jeeyo Ye zindagi hain isko siyasat na samajna
Teri hukumat tere shehar men khoob chalti hogi Ye mera ghar hain isko apni riyasat na samajna
Ranjishon se darti nahin bas chahat nahin hain uski Aksar sar jhukathi hoon ise nazakat na samajna..