Sunday, September 14, 2014

Khud Ko Akela Chod Nahin Sakta

Khud ko akela chod nahin sakta, kisi ka kabhi ho nahin sakta
Main lakh khosish karta hoon magar mohabbat dobara ho nahin sakta

Mohabbat chup jati hain nafrat dikh jata hain
Aisi nigahon se bharosa kabhi ho nahin sakta

Zindagi ki har mod par insaan khushi dhoondtha hain
Wo nahin samajta ki har gulshan mein gulab ho nahin sakta

Rishton ki ahmiyat ko koyi naap nahin sakta
Ye samandar hain iss mein paani kam ho nahin sakta

Maikhane se zyada madhoshi dilon mein hoti hain
Mohabbat se zyada nasha sharab mein ho nahin sakta

Chahe mandir mein milta ho chahe mazjid mein milta ho
Khuda ek hain doosra ho nahin sakta

Ye afsana hain haqeekat tho woh tha
Main bhool gaya ki mohabbat dobara ho nahin sakta

Gamo ke barabar mein khushiyan milti hain
Zindagi ki tarazu mein kuch kam kuch zyada ho nahin sakta

Ye haseen zindagi hain ise do pal rone do
Pathjhad mein barish der tak ho nahin sakta

Jitna tumse ut tha hain utna hi boj milta hain
Khuda kabhi kisi se beimaan ho nahin sakta..

No comments:

Post a Comment