Sunday, September 14, 2014

Meri Majbooriyon Ko Tu Mohabbat Na Samajna

Meri majbooriyon ko tu mohabbat na samajna
Main nastik hoon mere sajde ko ibadat na samajna

Ye zaroori tho nahin ki jo tu kahe wohi main kahun
Apna nazariya rakhti hoon ise bagawat na samajhna

Mustakbil mein khushiya ho isliye aaj thoda rulati hoon
Meri iss sakti ho tu nafrat na samajna

Tu mehfoos rahe isliye teri dushmaon se dosti hain
Meri iss kamzori ko tu chahat na samajna

Mushkilon ne choda nahin maine use apna liya
Mere jhoot moot ke hasne ko tu rahat na samajna

Ye tera karz tha tujhe hi chukana tha
Agar mera mizaj badal gaya tho inayat na samajna

Kisi ko harane ke liye nahin khud ko jitane ke liye jeeyo
Ye zindagi hain isko siyasat na samajna

Teri hukumat tere shehar men khoob chalti hogi
Ye mera ghar hain isko apni riyasat na samajna

Ranjishon se darti nahin bas chahat nahin hain uski
Aksar sar jhukathi hoon ise nazakat na samajna..

No comments:

Post a Comment