Thursday, January 8, 2015

A Tribute to the Children of Pakistan.. Peshawar Attack..

Rooti huyi mili kuch gudiyan mujh ko..
Apni saheli se bichadne ka dard tha us mein..
Bikhri huyi mili kuch kitabein mujh ko..
Adhoori taleem ka afsoos tha un mein..
Barfile mausam mein ho rahi thi barsaat..
Kayi aankhon ka armaan jo phigal raha tha..
Jis raah par hoti thi shararetin bahut..
Ab waha se sirf siskiyan sunayi deti hain..
Us mulk ke ham nahin par woh bacche hamare hain..
Woh jazbaat bhi hamare hain woh halaat bhi hamare hain..
Ye masla na kafir ka hain na musalmaan ka hain..
Ye masla insaaniyat ka hain ye masla insaan ka hain..!!

Woh jisne bigad diya hain watan ka mustakbil..
Kya banayega woh apne aaj ko ?
Woh jisne mita diya shehar bhar ki roshni..
Raat ke andhere mein kaise sota hoga ?
Jo kho jata hain woh intekaam lene se milta agar..
Tho shouk se nikal pado inquilab keh kar..
Khoon karne se agar sukoon milta hain..
Ab tak aaabad hogaya hota ye jahan saara..
Us shehar ke ham nahin par woh log hamare hain..
Woh azaab bhi hamara hain woh sawaal bhi hamara hain..
Ye masla na kafir ka hain na musalmaan ka hain..
Ye masla insaaniyat ka hain ye masla insaan ka hain..!!

No comments:

Post a Comment