Thursday, August 7, 2014

Ek Beeta Hua Kal Hain

Ek beeta hua kal hain ek aanewala pal hain
Zindagi tho do lafzon ki ek gazal hain

Kal ko sajakar aaj yaha barbaad hain
Khushiyon se nahin insaan gamo se mukammal hain

Mohabbat ko shouk nahin zaroorat samajhiye
Sardi ki raaton mein ye garmi ka kambal hain

Taqdeer ki fitrat kuch mausam jaisa hain
Is mein kabhi sooraj tho kabhi baadal hain

Logon ne mujhe suna hain magar samjha nahin
Jise woh shayar kehte hain woh khayalon ka jungal hain

1 comment: