Sunday, September 14, 2014

In Nigahon Ka Deedar Kuch Der Karne Do

In nigahon ka deedar kuch der karne do
In zulfon ke saaye mein kuch der rehne do

Manzil nahin mili tho kya hua
In raahon mein thodi door chalne do

Kamyab ho har mohabbat ye zaroori tho nahin
Nakaam rishton ko bhi kuch der nibhane do

Choot jayegi kuch der mein zindagi mujh se
In aakhri lamhon ko kuch der jeene do

Bichadna hain mujhe kal in haseen waadiyon se
In hawaon mein kuch der aur rehne do

Mera yaar mujhe chodkar kab ka jaa chuka hain
Haqeekat apnane se pehle kuch der iss sapne mein rehne do

Tanhayi se kal haath milana hain mujhe
Ye aakhri mehfil hain ise khoob sajne do

Beete huye lamhon ko har pal sametna hain mujhe
Aaj in aakhri lamhon ko kuch aur bikharne do

Mera wajood mujh se lekar jaa raha hain koyi
Khud se aakhri baar baat karne do

Wafa tho mujh se ek arse se rootha hain
Bewafai aksar milti hain ise milne do

Iss haseen gulshan ko kal murjhana hoga
In phoolon ko kuch der aur khilne do

Na ye afsana rahega na ye zamana rahega
Iss kahani ko waqt ke pannon mein likhne do

Kuch der mein chaand bhi sonewala hain
Ye aakhri raat hain iss mein jaagne do

Aaj mera humsafar hain kal ye ajnabi hoga
Kuch der ka saath hain ise rehne do

Kuch der mein ummeedon ka daur khatm honewala hain
Kuch der aur khwayishon ko badne do

Har kisi ko aakar mitti mein milna hain
Kuch der aur hawaon mein udne do

Chamakta hua sitara bankar bahut reh liya
Ab tho mujhe toot kar girne do

Baazi tho palat gayi ab haar meri hogi
Magar ek aakhri daav baaki hain ise lagane do

Ye aisa zakhm hain jo waqt ke saath gehra hoga
Magar kuch rahat mili hain aaj ise rehne do

Mera alvida rakh lo aur mujhe jaane do
Sukoon se jeene nahin diya kam se kam marne do

 

No comments:

Post a Comment